Soach
sabdon mein bandh dete hain jab apni soach ko hum,
to kya kam ho jati hai us soach ki ahmiyat?
kya kisi kisi soach ko sabdon mein na bandhana hi sahi hai?
par prashna yeh uthta hai
sabdon mein bandhe bina kya ho sakti hai abhivyakti?
shaayad nahi..
maine abhi kya kiya?
soach ko apni bandh diya sabdon mein...
Manasvini M Yogi
Sunday, November 15, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment